'Zindagi' se ek chhoti se baat-cheet...
'ज़िन्दगी' से एक छोटी सी बात-चीत...
Ek anjana sa safar, ek anjani si rah,...
ek anjani manjil aur kai anjane se musafir.
kisi ke sath kuchh pal , kisi ke sath kuchh kadam,...
kisi ke sath kuchh din chala.
koi anjana mila, koi jana pehchana mila,...
kuchh dost bane aur kuchh reh gaye.
kisi ne yaad kiya, kisi ki yaad aayi, kuchh rishte bane,...
kuchh toot kar bikhar gaye.
main wahi apni manjil ki taraf girta padta uthta sambhalta...
Zindagi ko jeeta chala.
subah ko utha, dhoop me jala,...
shaam ko thakkar manjil ko bhul kar main so gaya.
tum bhi jeete ho , hum bhi jeete hain,...
is zindagi ko main ab har din jeeta chala.
Main wahi hun , main nai badla, aye zindagi tujhe sochkar,...
apni rah chalta chala.
imtihan aaj bhi hai, kal bhi tha, kal bhi rahega is zindagi me,...
main jaanta hun.
tumhe bahut kareeb se dekha hai aye zindagi,...
fir bhi main dhokha kha sakta hun.
tu ek fareb hai zindagi, kabhi toh tu rasta aur...
kahbi to manjil badal deta hai.
kabhi ujaadkar mera aashiyaan, saja deta hai khwab naya,...
ek ummed dil me basa deta hai.
Gum nai hai koi, na koi hai shikayat tujhse,...
sambhalna zindagi har mod par mujhe.
maloom hai tu khoobsurat hai subah ki oos ki tarah par tu...
din me tikta ni hai.
aksar apne aap se baatein karta hun main,...
ankhen khol kar sapne bunta hun main.
tu bhi raat ki chand ki tarah hai kabhi roushni,...
to kabhi andhera ghana saaya hai.
main sheesha hun, par tu mujhe tod ni sakta,...
tu hai kyun ki dil mera dhadakta hai.
nadi me jaise ek tinka,...
us tinke ki tarah lehro me tere saath main dur beh chala.
Ek anjana sa safar, ek anjani si rah,...
ek anjani manjil aur kai anjane se musafir.
kisi ke sath kuchh pal , kisi ke sath kuchh kadam,...
kisi ke sath kuchh din chala.