Sunday, September 8, 2013

Kho Gaya Hun Kahin...






Pareshan ho gaya hun ab main,
kho gaya hun is zindagi mein kahin...
Khud ko banane nikla tha.
Khud hi kho gaya hun kahin...

Zindagi mein bahut hain uljhane,
Isko suljhane nikla tha kahin...
Bahut pechida hai ye zindagi,
Usi mein ulajh ke reh gaya hun kahin...

Poochho mat ye mayoosi kyun hai,
mathe par ab shikan hai kahin...
Ab kadmon ko sambhalte sambhalte,
thak kar, girkar ruk gaya hun kahin...

Sanse to hain, dil dhadkaane k liye,
Jaan tham gayi hai kahin...
Ummed ki shama jal to rahi hai,
Roshni ab kho gayi hai kahin...

Asmaan mein udne ki chahat thi,
Zarra banke reh gaya hun kahin...
Armaan samundar paane ki thi,
Ab to lehron me kho gaya hun kahin...

Dishaheen hokar daudta hai mann,
toote sapno me fas gaya hun kahin...
Pyaasi hai ye zindagi hiran ki tarah,
Reth mein pani dhondta hai kahin...


No comments:

Post a Comment